Yahin Guzaar Doon Song Lyrics is the track from This song was sung by Amaal Mallik, Shreya Ghoshal. The music was composed by Kunaal Vermaa. Lyrics works penned by Kunaal Vermaa.
Yahin Guzaar Doon Song Credits :
Title : Yahin Guzaar Doon
Singer : Amaal Mallik, Shreya Ghoshal
Lyrics By : Kunaal Vermaa
Music By : Kunaal Vermaa
Label : Amaal Mallik
Released on : Feb 14, 2026
Yahin Guzaar Doon Lyrics
Is duniya ke andheron mein
Jab tu mere kareeb aaya
Kuch bhi na tha in lakeeron mein
Tab tu leke naseeb aaya
Kiya hai kitna tune mere liye
Main kahe jo tu toh hans ke mar jaaoon
Jo haath yeh rahe tere haath mein
Main saari zindagi yahin guzaar doon
Chale bhi jaoge toh intezaar mein
Woh shaam aakhri yahin guzaar doon
Is duniya ke andheron mein
Jab tu mere kareeb aaya
Kuch bhi na tha in lakeeron mein
Tab tu leke naseeb aaya
Mujhe yaad hai woh din aaj bhi
Main chal ke tere paas aaya tha
Nahi tha koi jahan mein mera
Tune hi gale lagaya tha
Mila jo tu toh har khushi mil gayi hai
Ab is se zyada aur kya maangoon
Jo haath yeh rahe tere haath mein
Main saari zindagi yahin guzaar doon
Chale bhi jaoge toh intezaar mein
Woh shaam aakhri yahin guzaar doon
Koi aisa pal jiya hi nahi
Jisme tera naam na liya
Tere ho gaye toh humne sanam
Sabse faasla bana liya
Tera mera safar kabhi na khatam ho
Bhale hi saanson se bichhad jaaoon
Jo haath yeh rahe tere haath mein
Main saari zindagi yahin guzaar doon
Chale bhi jaoge toh intezaar mein
Woh shaam aakhri yahin guzaar doon
