Barsaat Song Lyrics is the track from, This song was sung by Armaan Malik. The music was composed by Armaan Malik. Lyrics works penned by Kunaal Verma.
Barsaat Song Credits :
Song: Barsaat
Singer(s): Armaan Malik
Lyricist(s): Kunaal Verma
Music Director(s): Armaan Malik
Music Label: Armaan Malik
Release on: Oct 18, 2021
Barsaat Lyrics
Hoke juda khush ho agar
Hanske bichhad jaunga
Kehde mujhe dil se tere
Khud hi utar jaunga
Kar faisla abhi ke abhi
Kyun bewajah intezar hai
Ya phir mujhe tum rok lo
Agar mere liye dil mein pyaar hai
Phir aaj hai dil ro raha
Sab keh rahe barsaat hai
Phir aaj hum khamosh hai
Shayad koyi toh baat hai
Tere liye iraade mere
Main na badal paunga
Chahe milo jitno se tum
Sab mein nazar aaunga
Saanson mein hai jo usse bhoolna
Itna bhi kahaan aasaan hai
Karke dekh le sau koshishein
Namumkin si yeh baat hai
Phir aaj hai dil ro raha
Sab keh rahe barsaat hai
Phir aaj hum khamosh hai
Shayad koyi to baat hai
Phir aaj hai dil ro raha
Sab keh rahe barsaat hai
होके जुदा खुश हो अगर
हँसके बिछड़ जाऊँगा
कहदे मुझे दिल से तेरे
खुद ही उतर जाऊँगा
कर फ़ैसला अभी के अभी
क्यूँ बेवजह इंतेज़ार है
या फिर मुझे तुम रोक लो
अगर मेरे लिए दिल में प्यार है
फिर आज है दिल रो रहा
सब कह रहे बरसात है
फिर आज हम खामोश है
शायद कोई तो बात है
तेरे लिए इरादे मेरे
मैं ना बदल पाउँगा
चाहे मिलो जीतनो से तुम
सब में नज़र आऊंगा
साँसों में है जो उससे भूलना
इतना भी कहाँ आसान है
करके देख ले सौ कोशिशें
नामुमकिन सी ये बात है
फिर आज है दिल रो रहा
सब कह रहे बरसात है
फिर आज हम खामोश है
शायद कोई तो बात है
फिर आज है दिल रो रहा
सब कह रहे बरसात है
